Bismi Allahi arrahmani arraheem
AL-REHMAN (Naihait Maherbaan) 
Her
 farz key ba’ad agar is ism ka 100 martabah vird kia jai to iski barkat 
sey na sirf yadasht aur zahanat mein azafah hota hai balkey 
khashoo-e-qalb bhi hasil hota hai.
AL-RAHEEM (Bohat Reham Wala)
Her
 Fajar ki Namaz key ba’ad agar is ism ka 100 martabah vird kia jai to is
 key asar sey her shakhs maherban ho jai ga. Aur vird karney waley sey 
mohabbat aur rahat sey pesh aaiga.
AL-MALIK (Haqeeqi Badshah)
Is ism ka vird kisi bhi waqt bhi karney wala hamesha mo’azzaz aur maqbool rahta hai.
AL-QUDDUS (Buraiun Sey Pak Zaat)
Din mein 100 bar Is ka vird karney walon ka dil her qism ki pareshanion sey a’azad rehta hai.
AL-SALAM (Her Afat Sey Salamat Rakhney Wala)
Agar is ism ko 100 bar vird kar key mareez per dam kia jai to mareez sahetyab ho jata hai.
AL-MOMIN (Aman-o-Aman Daney Wala) 
Is ka vird karney wala her qism ki muzarboon sey mehfooz rehta hai.
AL-MOHAMIN (Nigehbaan)
Mukammal tawajjo key sath Is ism ka vird karney sey batan roshan hota hai.
AL-AZIZ (Sab per Ghalib) 
Agar
 her Fajr ki Namaz key ba’ad chalees din 40 bar vird karney wala nah 
sirf is kar vird kia jai to iski barkat sey khud kafeel ho jaiga balkey 
dosroon ki imdad sey beniaz ho jai ga.
AL-JABBAR (Sab Sey Zabardast)
Is
 ism ka vird karney waloon say koi shakhsh is ki marzi key khalaf amal 
nahin kar sakta. Aur na who maghloob-al-ghazab ho kar drusht raviah 
ikhtiar kar sakta hai.
 AL-MUTKABBIR (Barai aur Bazurgi wala)
Apni shareek-e-hayat sey is ism key wird key ba’ad mubashrat karney sey saleh aulad paida hoti hai.
AL-KHALIQ (Paida Karney Wala)
Jo
 shakhsh raat key waqt is ka vird karta hai to Allah Tua’alla qiamat tak
 is ki hifazat w nigrani key liay aik Farishtah muqarar kar deta hai aur
 is Farishtey key a’amal ka ajr vird karney walon ko milta hai.
AL-BARI (Jan Dalney Wala)
Aulad
 ki mutmani khatoon agar sat din tak rozah rakh kar in tinoo (3) ismon 
ka 211 martaba vird karey aur pani per dam ker key is pani sey rozah 
iftar karey to Allah is ko aulad sey sarfraz karey ga.
AL-MUSAWAR (Surat Deney Wala)
Aulad
 ki mutmani khatoon agar sat (7) din rozah rakh kar in tinoo (3) ismon 
ka 21 martaba vird karey aur pani per dam ker key is pani sey rozah 
iftar karey to Allah is ko aulad sey sarfraz karey ga.
AL-GHAF’FAAR (Darguzar Aur Pardaposhi Karney Wala)
Jo is ism ka vird karey ga. Allah is key gunahoon ko bakhsh dey ga.
AL-QAHAR (Sab Ko Apney Qabu Mein Rakhney Wala)
Jo
 shakhsh is ism ka vird karta hai usko apni jumlah khawahshoon per qabu 
hasil ho jata hai. Aur hawas, jah-o-jalal sey aazad ho ker ruhani sakoon
 hasil ker leta hai. Aur iska vird insane kw ghalat karion sey baz 
rakhta hai.
AL-WAHAB (Sab Kuch Ata Karney Wala)
Jo
 shakhs Dua’a key ba’ad is ism ka 7 bar vird karey to uski dua’a qabool 
hoti hai. Hajatmand shakhs ya woh shakhs jo kisi dushman key chungal 
mien phans gia ho to ya woh shakhs jiski aamdni qaleel ho aur achi tarah
 guzr basr na hoti ho agar teen (3) sey sat (7) ratoon mein do (2) 
rak’at ba’ad is ism kar vird 100 bar karey to Allah iski zarooratoon ko 
pura karey ga. 
AL-RAZZAQ (Bohat Rozi Deney Wala)
Jo shakhs is ism ka vird karta hai. Allah uski kafalat apney zimma ley leta hai.
AL-FATTAH (Bohat Bara Mushkal Kusha)
Jo shakhsh is ism ka vird karta hai uska qalab roshan ho jata hai. Aur us ko apney maqasad mein kabiabi hoti hai.
AL-ALEEM (Bohat Waseei Ilm Wala)
Jo shakhs is ism ka vird karta hai us ka dil tajaliat sey ma’amoor ho jata hai.
AL-QABiZ (Rozi Tang Karney Wala) 
Agar koi shakhs is ism ko roti key pachas (50) tukroon per likh kar chalees din tak khai to usko bhook sey nijat mil jai gi.
AL-BASIT (Rozi Farrakh Karney Wala)
Agar
 koi shakhs is ism ka ba’ad Nimaz Fajr apney dono hath phaila kar 10 bar
 vird karey aur uskey ba’ad dono hath paney munh per pherey to woh apni 
jumla zarooratoon sey beyniaz ho jai ga.
AL-KHAFIZ (Past Karney Wala)
Jo
 shakhs teen din rozah rakhey aur chothey din majma mein ism ka 70,000 
bar vird karey to us ko apney dushmano sey nijat naseeb ho gi.
AL-RAFEY (Buland Karney Wala)
Jo shakhs is ism ka 1000 bar vird karey to Allah us ko sarfrazi, izat, daulat aur buland martba ata farmai ga.
AL-MUIZ (Izzat Deney Wala)
Agar
 yeh hisab taqweem qamri pir, mangal ki ratoon mein yani shamsi hisab 
sey itwar aur peer ki ratoon mein is ism ka 140 bar vird kia jai to 
Allah vird karney ko dosroon ki nazr mein daqi-o-muazar banata hai aur 
Khuda key siwa kisi sey nahin darey ga.
AL-MUZIL (Zilat Deney Wala)
Is ism ka 75 bar vird karney wala muzraboon sey aur hasdoon ki aizasani sey mehfooz rehta hai.
AL-SAMEE (Sab Kuch Sun’ney Wala) 
Jo baat kiay baghair jumairat ko Zohar ki Namaz key ba’ad is ism ka 100 bar vird karey to Allah uski her khwahash puri karey ga.
AL-BASEER (Sab Kuch Dekhney Wala)
Jo
 shakhs Jum’aa key din pehli bar char sunattoon aur farz darmian 100 bar
 is ism ka vird karey ga Allah doosron ki nazar mein is ko ba-izzat aur 
moaqqar banai ga.
AL-HAKAM (Hakam-e-Mutliq)
Jo shakhs raat mein kai bar is ism ka vird karta hai to us per bohat sey raaz aashkar ho jatey hain.
AL-ADAL (Sar-ta-pa Insaaf) 
Agar is ism ko Jum’a ki shab roti key turkey par likh kar kha lia jai to log is key farman bardar ho jain gey.
AL-LATIF (Bar Lutf-o-Karam Karney Wala)
Agar
 koi shakhs muflas ho jai aur be-yar-o-madad gar bhi ho to aisa shakhs 
do nafal namaz ada karney key ba’ad is ism ka 100 bar vird karey to uski
 murad bar aiy gi.
AL-KHAIR (Ba Khabr Aur Aagah)
Agar koi buri lat sey chutkara hasil karna chahey to is ka musalsal vird karey Insha’Allah us ki is lat sey rahai mil jai gi.
AL-HALEEM (Bara Burdbar)
Agar
 koi shakhs is ism ko kaghiz per likh kar aur khait mein kaghiz ko us 
muqam per dafn kar dey jahan beej boia jata hai to woh khet her qism ki 
aafat araz-o-samavi sey mehfooz rahey ga.
AL-AZEEM (Bara Bazurg)
Jo shakhs is ism ka kai bar vird karey ga to her shakhs is ko Izat-o-Tauqeer ki nazar sey dekhey ga.
AL-GHAFOOR (Bohat Bakhshaney Wala)
Agar
 koi shaded sar dard ya bukhar mein mubtala ho ya bohat ziddi ho to aisa
 shakhs agar is ism ka musalsal vird karey to us ki is takleef sey nijat
 hasil ho jati hai.
AL-SHAKOOR (Qadar Dan)
Agar
 kisi shakhs ko dil par bar ho aur aisa shakhs is ism ko 41 bar vird 
karey aur pani par dam kar key pani sey apna munh dhoey to is shakhs key
 dil ka bojh khatm ho jai aur woh apney aap per qabu hasil karey ga.
AL-ALI (Bohat Buland-o-Bartar)
Agar
 kisi shakhs ka aqeedah kamzor ho aur woh is ism ka vird karey to us ka 
aqeedah darust ho jai ga aur Manzal-e-Maqsood tak pohanch jai ga.
AL-KABEER (Bohat Bara)
Agar koi is ism ka rozana 100 bar vird karey to dunia ki nigahon mein mo’azaz mohtaram ho jai ga.
AL-HAFEEZ (Sab Ka Mohafiz)
Jo shakhs is ism ka din mein 15 bar vird karey ga, woh her qism ki a’afaat sey mehfooz rahey ga.
AL-MUQEET (Rozi aur Tawani Deney Wala)
Agar
 kisi bachey ki Aadat-o-Atwar kharab ho jain aur aisey bachey ko yeh ism
 aik glass pani mein dam kar key pilaya jai to bachey kay Aadat-o-Atwar 
darust ho jain gey.
AL-HASEEB (Hisab Karney Wala)
Agar
 koi shakhs chor ya kisi hasad sey khaif ho ya is ko koi nuqsal 
pohnchaney ka ehtimal ho to is ism ka jumerat say din raat sat din tak 
70 bar vird karey aur 71 bar Hasbi-Allah-ul-Haseeb kahey to Insha’Allah 
usko khauf sey nijat mil jai gi. 
AL-JALEEL (Barey aur Buland Martabey Wala)
Agar
 koi shakhs is ism ko mushak aur zaafran sey kaghaz par likh kar matti 
key kozey mein isko pani mein gholey aur is pani ko pi lay to isko 
Insha’Allah dunia mein izzat aur qadr-o-Manzalit naseeb ho gi.
AL-KAREEM (Bohat Karam Karney Wala)
Jo shakhs is ism ka ba-kasrat sey vird karey ga Insha’Allah is ko deen-o-dunia mein falah-o-izzat hasil ho gi.
AL-RAQEEB (Bara Nigehbaan)
Jo
 shakhs apney ahl-o-ayal aur mal-o-mata per 7 martabah is ism ko parh 
kar dam karey to Allah in ko apni hifazat mein rakhey ga.
AL-MUJEEB (Duain Sun’ney WalaAur Qabool Karney Wala)
Is naam ka vird kar key Khuda sey jo dua mangi jai gi Allah is dua ko qabool karey ga.
AL-WASEY (Wusa’at Wala)
Agar
 kisi shakhs ko hasool-e-rizq mein mushkalat dar-pesh hon to voh is ism 
ka vird karey, Insha’Allah is ki amdni mein azafa ho jai ga
AL-HAKEEM (Bari Hikmaton Wala)
Jo shakhs waqtan fowaqtan is ism ka vird karey ga is key kamon mein koi mushkal hail nahin ho gi.
AL-WADOOD (Bara Mohabbat Wala)
Agar
 do afraad key darmian koi tanaza ho aur in mein sey koi aik shakhs is 
ism ka 1000 bar vird kar key is ko khaney per dam kar key aur doosrey 
shakhs ko khula dey to in mein aapis ki ranjash khatam ho jai gi.
AL-MAJEED (Bara Bazurg)
Jo shakhs is ism ka vird karey ga voh dunia mein ba-izat rahey ga.
AL-BAA’IS (Murdoon Ko Zinda Karney Wala)
Jo shakhs is ism ka vird karey us key dil mein Allah ka khauf paida ho jai ga. 
AL-SHAHEED (Hazir-o-Nazir)
Agar kisi ki aulad naframan ho aur voh is ism ka vird karey to us ki aulad farman bardar ho jai gi.
AL-HAQ (Bar Haq-o-Barqrar)
Agar kisi ki koi cheez gum ho jai aur voh is ism ka vird karey to is ko apni gumshuda cheez mil jai gi.
AL-WAKEEL (Bara Karsaaz)
Agar
 kisi ko pani mein dobney ya aag mein jalney ya isi qabeel key aur 
khatraat dar-pesh hon to is ko chahiay keh is ism ka waqtan fowaqtan 
musalsal vird karey Insha’Allah voh tamam khatrat sey mehfooz rahey ga 
aur Allah khud is ki hifazat farmai ga.
AL-QAWWI (Bari Taqat aur Quwat Wala)
Agar
 koi shakhs apney dushman ko shikast dey sakey to usko chahiay keh voh 
iradey key saath keh dushman usko koi nuqsan nahin pohncha sakta is ism 
ka vird karey to Insha’Allah voh dushman key ghalba sey mehfooz rahey 
ga.
AL-MATEEN (Bohat Mazboot aur Mustahkam)
Agar koi shakhs kisi mushkal mein phans jai aur is ism ko vird karey to Insha’Allah usey is mushkal sey nijat mil jai gi.
AL-WALI (Madad Gar aur Himaiti)
Jo is ism ka vird karey ga to Allah ki dosti ka sharf hasil ho jai ga.
AL-HAMEED (Liq-e-Ta’areef)
Jo shakhs is ism ka vird karey ga dunia is sey mohabbat karey gi aur us ki ta’azeem krey gi.
AL-MOHASSI (Apney Ilm aur Shumar mein Rakhney Waal)
Who
 shakhs jo parish roz-e-hisaab sey khaif ho voh is ism ka 1000 bar vird 
karey to us key liay roz-e-hisaab ki manzal a’asaan ho jai gi.
AL-MUBDI (Pahli Bar Paida Karney Wala)
Agar
 is ism kar vird kar key kisi aisi hamla per dam kia jai jis ko saqoot 
ka andesha ho to voh Insha’Allah asqat key khatrey sey mahfooz ho jai 
gi. 
AL-MUEED (Dobarah Paida Karney Wala)
Agar khandan ka koi fard gum ho jai to is ism ko 70 bar vird karney sey gumshuda shakhs be-aafiat ghar aajai ga.
AL-MUHYI (Zindagi Deney Wala)
Agar koi shakhs bohat garan bar ho voh din mein 7 bar is ism ka vird karey to Allah us ko her bar sey subkadoshi ata farmai ga.
AL-MUMIAT (Maut Deney Wala)
Agar is ism kar vird kia jai to iska vird dushman ki tabahi per muntaj hoga.
AL-HAYYO (Hamesha Hamesha Zinda Rehney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey usko umr-e-draz ata ho.
AL-QAYYUM (Qaim Rakhney Wala aur Sanbhalney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga Insha’allah who kabhi ghaflat aur bekhabri ka shikar nahin ho ga.
AL-WAJID (Har Cheez ka Palney Wala)
Iss ism ka vird karney wala dil ki doulat sey mala maal ho jata hai.
AL-MAJID (Bazurgi aur Barai Wala)
Iss ism ka vird karney waley ka dil tajalliat sey ma’amoor ho jata hai.
AL-WAHID (Apni Zat-o-Saffat Mein Yakta)
Jo shakhsh pur sakoon mahol mein is ism ka vird karey ga Insha’allah woh khauf aur dunia key har faraib sey aazad ho jai ga.
AL-AHAD (Aik Yaqtaa)
Ju shakhsh is ism ka 1000 bar wird kary ga us per qaynaat ke israr khul jain ge.
AL-SAMAD (Be Nayaz)
Ju
 shakhsh Iss ism ka vird kare ga Allah Taalah is ke hajat rawayi kare ga
 jis ke natijay main is ko dosron ke zaroorat nai rahy ge balkay dosroon
 ko is ke zaraoorat ho ge.
AL-WAHID (Apni Zat-o-Saffat Mein Yakta)
Jo shakhsh pur sakoon mahol mein is ism ka vird karey ga Insha’allah woh khauf aur dunia key har faraib sey aazad ho jai ga.
AL-MUQTADIR (Puri Muqtadarat Rekhney Wala)
Jo shakhsh iss ism ka vird karey ga us par woh asal haqeeqat sey bakhabar ho jai ga.
AL-MUQQADAM (Pahley Aur Agey Karney Wala) 
Jo
 shakhsh jang key doran iss ism ka vird karey ga, Allah us ko pesh qadmi
 ata karey ga aur jo shakhs kisi khaufnaak muqam per jahan woh tanha bhi
 ho is ism ka vird karey ga Insha’allah her zarar sey mehfooz rahey ga.
AL-MO’AKHAR (Peechey Aur Ba’ad Mein Rakhney Wala)
Jo shakhsh is ism ka din mein 100 bar vird karey ga to us key dil mein Allah key siwa her cheez ki mohabbat khatm ho jai gi.
AL-AWAL (Sab Sey Pahley)
Agar
 kisi key larka na ho ya koi shakhs kisi hamsafar sey qurbat hasil karna
 chahta ho to aath (8) haftoon tak iss ism ka 1000 bar vird karey 
Insha’allah us key dil ki murad puri ho jai gi. 
AL-A’AKHIR (Sab Key Ba’ad)
Jo
 shakhsh iss ism ka kasrat sey vird karey ga, woh na sirf khushhali ki 
zndagi basr karey ga balkey us ka khatma bhi bakhair ho ga.
AL-ZAHIR (Zahir-o-Aashkara)
Jo shakhsh Juma’a ki nimaz key ba’ad 15 bar is ism ka vird karey ga to Allah us ka qalb munawar far ma dey ga.
AL-BATIN (Posheeda-o-Pinhaan)
Jo shakhs din mein teen bar is ism ka vird karey ga. Us mein haqeeqat ashia key dekhney ki ahliat paida ho jai gi.
AL-WALI  (Mutwali Aur Mutsarrif)
Jo
 shakhsh is ism ka vird kar key apney makan par dam karey ga Insha’allah
 us ka makan har qism key khatraat sey mehfooz rahey ga.
AL-MUTA’ALI (Sab Sey Buland-o-Bartar)
Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga to usko Allah ki khushnudi hasil ho jai gi.
AL-BARRO (Bara Acha Salook Karney Wala)
Jo shakhs is ism ka vird kar key apney bachey par dam karey ga us ka bacha bad bakhtiun sey mehfooz-o-mamoon rahey ga.
AL-TAWWAB (Bohat Ziada Qabool Karney Wala)
Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga us ki toba qabool ho jai gi.
AL-MUSHQIM (Badla Leney Wala)
Jo shakhsh kasrat key sath is ism ka vird karey ga us ko apney dushmanoon key muqabley mein kamiabi hasil ho gi.
AL-AFAW (Bohat Ziada Mua’af Karney Wala)
Jo shakhsh kasrat key sath is ism ka vird karey ga. Allah us key tamam gunah mua’af kar dey ga. 
AL-RAUF (Bohat Meharbaan)
Jo shakhsh is ism ka kasrat sey vird karey ga Allah us per barkatain nazal karey ga.
MALIK-UL-MULAK (Sarey Jahan Ka Badshah)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh doosron ki nazaron mein mua’ziz aur mohtaram rahey ga.
ZUL-JILAL (Sahib-e-Bazurgi-w-Bakhshish )
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga. Insha’allah woh ghani aur maaldar ho jai ga.
AL-MUQSIT (Insaaf Karney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh shayateen ki aiza rasanion sey mehfooz rahey ga. 
AL-JAM-E-O (Qiamat Key Din Logon Ko Ikatha Karney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga woh is shay ko pai ga jo us ney kho di hai.
AL-GHANI (Har Cheez Sey Be Parwah)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga. Aasudah ho jai ga aur hirs-o-hawas sey aazad ho ga.
AL-MUGHNI (Ghani Ya Beparwah Karney Wala)
Das (10) Jumu’a tak agar koi shakhsh din mein 10 bar is ism ka vird karey ga to Allah us ko khud kafeel bana dey ga.
AL-MA’AN-E (Deen-o-Dunia Mein Halakat Sey Bachaney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga us ki gharailu zindagi khushgawar raey gi
AL-ZAAR (Zarar Ponhchaney Wala)
Agar koi kam rutba shakhs Juma’a ki raat mein is ism ka vird karey ga to Insha’allah rutbah buland ho jai ga.
AL-NAF-E- (Nafaa Ponchaney Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird 4 din tak karey ga to her qism key nuqsanat sey mehfooz rahey ga.
AL-NOOR (Roshani Wala)
Jo shakhsh is ism ka vird karey ga us ka batan roshan ho jai ga.






0 comments:
Post a Comment