Sunday, July 17, 2022

Nazar e Bad ka ilaj

 

Sab se pahlay samjlay ki nazr e bud misl e zahar hain.jisko Allah ta’al ne b’az insano ki aankhon me paida kar diya.jis tarah bichhu ka dank hain,aur sanp k munh me zahar de diya hain.esi tarha kuch insano ki ankhon me zaharili taseer paida kardi gayi hain.nazar sheesha to kya pattha ko tod deti hain.dariyaon k pani ko sukha deti hain.aur insan ko jab lag jati hain to kabristan me pahocha deti hain.nazar jab haray bharay baago ko lagti hain to darakhton ko sukha deti hain.aisa nahi ki nazar sirf insano ko laga karti hain,ye insan makaan dukaan,bag khet,karkhana,aamdani,paidavar,maal daulat,garz ki har chiz ko lag jati   hain.

NAZAR E BAD KI ALAMATAY


Ye hain ki jab insan ko lagti hain to achanak bimar ho jata hain,badan me susti bhar jati hain,dimag kaam nahi kar pata,yaddast kamzor parh jati hain,badan me kamzori aajati hain,chid chidapan aajata hain,gumsun rahta hain,wo khud nahi samjpata k i usay kya huva hain.jab karobar me lagti hain to chalta huva karobar ruk jata hain aur din b din sell girti jati hain,aur dukan ya showroom band karnay ki naubat aajati hain.


agar janwar ko lagay to janwar dudh dena band kardeta hain,bimar ho jata hain,aur agar waqt pe elaj na kiya jaen to maut bhi ho jati han.


agar bacho ko lagti hain to bacha rota rahta hain,zid karta hain,na khelta hain na thik se sota hain aur na kahin chain se baithta hain.bukhar bhi aajta hain.Rupay/daulat ko nazar lagti hain to barkat khatm ho jati hain aur rupay ki tangi hoti hain,kharchay barh jatay hain,income kam ho jati hain,yahan tak ki sari bachat bhi khatm hojati hain aur insan qarz me mubtila ho jata hain.jaisay rupay aur uskay darmiyan ek dushmani si ho jati hain.


aisy kai alamatay hain.aur ye sahar jadu se milti julti alamatay hain.to kisi amil se rabta karnay se pahlay meri es post me diye qurani w ahadis ki duaon ka sahara le ke khud elaj karay aur dekhay ki fark ho raha hain ya nahi?agar 40 din kisi amal ko karay aur koi fark na ho to kisi achay amil se rabta kar saktay hain.bahot mumkin hain ki aap jisay sahar jadu ka mamla samj rahay hain wo nazar e bad ki tabahi ho.


sahar ki aur nazar ki alamatay ek si hain,esliye aap ko lagay ki shayid kisi ne jadu tona kiya hain aur aap ek musibat se dusri me gir jaen,kyu k amil aksar hazrat bagair fees to kaam nahi karaengay?


sahar aur nazar ki alamatay kuch miti julti kyu?esay main yahan samjanay ki koshish karta hun,


Nazar e bad lagana bhi ek amal sifly hain.aur ye baqaeda sikha jata hain,aur hamaray gaon me to ye aam hain gair muslim me jo ye sifli amal kartay hain.hamaray gaon me ek kaum hain,gair muslim jiska bacha bacha sifli ka mahir hain.agar parinday ko ek nazar dekhlay to wo zameen par gir parhta hain.agar kisi k ghoday ko ek nazar dekhlay to ek saat me wo mar jata hain.aur ye log apnay ek aur amal k liye bhi mash'oor hain ki wo ek post card me ibarat likh detay hain agar  usay koi bar bar parhaega to wo sakht bimar ho jata hain.aur agar koi kisi k jodo me ya sinay me hath me dard paida karna chahta hain to wo bhi kar detay hain.


enlogon se hi pata chala hain ki nazar e bad ka amal sikhnay k liye wo khas din se sub'ah apni potti ko ek neem ki sali se chakhtay hain,kuch din k es amal se usmay nazar e bad ki quwat e bad paida ho jati hain aur wo jisko dam bhar dekhlay to usay lag jati hain.

aur ye bhi mujay pata chala ki kuch insan me bhi ye nazar e bad ki quwat e bad apnay aap paida ho jati hain wo kyu?wo bichara to aisa koi amal nahi karta phir bhi uski nazar sab ko lag jati hain.jisay aam tor par nazar ka bhaari kaha jata hain.ye us sakhs ko hota hain jisay bachpan me pait me kidaay [kaddu danay] hotay hain.pait k kiido ki khurak bhi insan k aat me rahi potii hi hain aur jiskay pait me ek lambay waqt tak ye kiday rahtay hain to us insan ki nazar me bhi ye asrat e bud paida ho jata hain aur uski nazar bhari ho jati hain.aisay insan ko jab bhi koi chiz maloom ho to 


ماشاء اللہ ولا قوة الا باللہ 
kahna chahiye.essay nazar e bad ka asar zael ho jata hain.Nazar ka lagna haq hain aur 
Esliye Allah rabbul izzat ne nazar se hifazat k liye apnay habib sallallahu alayhi w sallam  k tufayl eska elaj bhi zahir farmaya hain.jaisay ki hazrat khwaja hasan basri radiallahu anhu ne irshad farmaya hain ki agar kisi shakhs ko apnay ya apnay maal wagaira ko nazar lagnay ka andesha ho to surah  e noon ki aakhri aayat 3 bar parh kar andesha wali chiz pe dam karay…wo aayat ye hain…

وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ 
وَمَا هُوَ إِلَّا ذِكْرٌ لِّلْعَالَمِينَ 

yakadu allazeena kafaroo layuzliqoonaka biabsarihim lamma samiAoo alzzikra wayaqooloona innahu lamajnoonun Wama huwa illa thikrun lilAAalameena



Aur koi chiz bahot acchi maloom ho chahay wo maal ho ya aulad ya makaan ya baag ya khait ya koi karobar ho baherkaif usi waqt…
ماشاء اللہ ولا قوة الا باللہ
masha Allah wala quwat ila billah. 

parh liya jaen.kyu ki eskay parhnay se Allah ta'ala nazar e bud ki asar ko zael kar deta hain,taseer ko rok deta hain.


aur agar kisi shakhs ko maloom ho jaen ki uski nazar bahot sakht hain to usay chahiye ki wo aisy kisi chiz ko nazar bhar dekhay hi nahi.aur kabhi dekh bhi layto usi waqt usko ye dua parhni chahiye...


اللهّم بارك عليه  
Allahumma barik alayh

hazrat shaikh abul qasim rahmatullah alayh ne Sirat me byaan kiya hain ki ek baar ek larhka sakht bimar huva ki marnay k kareeb ho gaya tha to ek roz mainay nabi e akram sallallahu alayhi w aalayhi w sallam ko khwab me dekha ki aap sallallahu alayhi w aalayhi w sallam  ne farma rahay hain ki Tu aayaat e shifa se abtak kyu gafil raha?[matlab en aayaat k zariye  elaj kyu nahi kiya?]


AAYAAT AS-SHIFA YE HAIN....

وَيَشْفِ صُدُورَ قَوْمٍ مُّؤْمِنِينَ

wa yashfi sudoora qawmin mumineena
(at-Tawba, 9:14)


يَا أَيُّهَا النَّاسُ قَدْ جَاءتْكُم مَّوْعِظَةٌ مِّن رَّبِّكُمْ وَشِفَاء لِّمَا فِي الصُّدُورِ وَهُدًى وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ

Yaa ayyuha an-naasu qad ja’atkum maw`izhatun min rabbikum wa shifaun limaa fee as-sudoori wa hudan wa rahmatun lil-mumineen. (Yunus, 10:57)


َيخْرُجُ مِن بُطُونِهَا شَرَابٌ مُّخْتَلِفٌ أَلْوَانُهُ فِيهِ شِفَاء لِلنَّاسِ

yakhruju min butooniha sharaabun mukhtalifun alwaanuhu feehi shifaun lin-naas
 (an-Nahl, 16:69)

وَنُنَزِّلُ مِنَ الْقُرْآنِ مَا هُوَ شِفَاء وَرَحْمَةٌ لِّلْمُؤْمِنِينَ

Wa nunazzilu mina al-qurani ma huwa shifaun wa rahmatun lil-mumineen(an-Najm, 17:82)

وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشْفِينِ

Wa idha maridtu fahuwa yashfeeni
(ash-Shu`ara, 26:80)


قُلْ هُوَ لِلَّذِينَ آمَنُوا هُدًى وَشِفَاء

qul huwa lil-ladheena amanoo hudan wa shifaun
(al-Fussilat, 41:44)

*ES AYAAT SE ELAJ KA TAREEQA YE HAIN KI BISMILLAH W SURAH E FATEHA SHARIF PARH KAR 21 BAR YE AAYAT E SHIFA SHARIF PARHA JAEN AUR PANI PE DAM KARKAY NAZR E BUD K MARIZ KO PILAYA JAEN AUR SUB'AH SHAM 3-3 BAR AAYAT E SHIFA PARH KAR MARIZ PE DAM KIYA JAEN.11 DIN K AMAL SE ASAR ZAEL HO JAEGA.AUR EN BISMILLAH W SU.FATEHA SHARIF K SATH AAYAT SHIFA CHINI KI RAKAABI PE LIKH KAR 3 WAQT PANI SE DHO KAR PILAYI BHI JA SAKTI HAIN,ESSAY BHI 11 YA 21 DIN KAR SAKTAY HAIN.

*AUR YE AAYAT E SHIFA HAR MARZ CHAHAY CHOTA YA BARHA KOI BHI LA ELAJ MARZ KA ELAJ HAIN.UPAR LIKHI KISI BHI TARKEEB SE ELAJ KIYA JAEN,INSHALLAH HAR MARZ SE SHIFA HASIL HOGI.


BACHO KO NAZAR LAGNA:


Jo bachay sehatmand aur khubsoorat hotay hain wo aksar nazar e bud ka shikar hotay hain,aur aksar apnay gharwalon ki nazar lag jati hain.eska ek elaj to upar likh diya ki kisi bhi chiz ko ya aisay bachay ko dekh kar "masha Allah wala quwat ila billah." kahay.


chotay bachho ko nazar lag jaen to 3 bar su.kausar parh kar chehray pe dam kiya jaen.aisa 3 din tak karay,inshallah essay bhi asar zael ho jata hain.


MAKAN W DUKAN KO NAZAR SE BACHANA:


agar apnay makan par ya dukaan upar "MASHALLAH"khubsoorati se likhwaya jaen ki logon ki nazar uspay parhay to inshallah makaan w duakan buri nazar se mahfooz rahti hain.


KHUD KO YA KISI GHAR K FARD KO NAZAR LAGNA:


upar mainay tareeqa bataya hain ki kis tarha se nazar dur ki ja sakti hain.ek aur tareeqa nazar ko dur karnay ka ye hain ki ek sufaid kagaz pe khanay k zard rang se ek bar surah e fateha ek bar aaytul kursi aur aur 4ro Qul ek ek bar likh kar  usay mariz k galay me taweez me rakh kar pahnaye aur sub'ah w sham 3 din tak ye hi surah ya mariz pe dam ki jaen ya pani pe dam karkay pilaya jaen.


*esi tarha aap ye dhaga bhi bana kar estemal kar saktay hain wo yun ki kisi sabz dhagay pe ek girah de aur ek bar ye aayat par kar dam karay aur girah laga de..



وَإِن يَكَادُ الَّذِينَ كَفَرُوا لَيُزْلِقُونَكَ بِأَبْصَارِهِمْ لَمَّا سَمِعُوا الذِّكْرَ وَيَقُولُونَ إِنَّهُ لَمَجْنُونٌ 
su.Qalam, 51

esi tarha dhagay pe 11 girah de aur har girah pe ek bar dam karna hain.es dhagay ko aap mom jama karkay galay me pahnay ya apnay bachho ko ya aurat ko ya samaan me ya dukan me ya janwaron ko pahnaye inshallah nazar ka asar zael ho jaega.ye dhaga main khud dam karkay rakhta hun aur taqseem karta hun aur bahot hi mufeed hain.

HAMELA W BACHHO KO NAZAR E BAD SE MAHFOOZ RAKHNAY K LIYE:


En aayaat sharifa ko zafran w arq gulab se ya khanay k zard rang se en ayaat ko likh kar momjama karkay hamela k sidhay bazu pe bandh de to hamela w uskay shikam ka beta nazar e bad se mahfooz rakhta hain.bachay ki wiladat k bad esay bachay k galay me pahnaye to wo bhi har nazar k khatrat se mahfooz rahta hain.



wo aayat e sharifa ye hain...

إِذْ قَالَتِ امْرَأَةُ عِمْرَانَ رَبِّ إِنِّي نَذَرْتُ لَكَ مَا فِي بَطْنِي مُحَرَّرًا فَتَقَبَّلْ مِنِّي إِنَّكَ أَنتَ السَّمِيعُ الْعَلِيمُ 
فَلَمَّا وَضَعَتْهَا قَالَتْ رَبِّ إِنِّي وَضَعْتُهَا أُنثَى وَاللّهُ أَعْلَمُ بِمَا وَضَعَتْ وَلَيْسَ الذَّكَرُ كَالأُنثَى وَإِنِّي سَمَّيْتُهَا مَرْيَمَ وِإِنِّي أُعِيذُهَا بِكَ وَذُرِّيَّتَهَا مِنَ الشَّيْطَانِ الرَّجِيمِ فَتَقَبَّلَهَا رَبُّهَا بِقَبُولٍ حَسَنٍ وَأَنبَتَهَا نَبَاتًا حَسَنًا وَكَفَّلَهَا زَكَرِيَّا 
su.imran aayat 35/36

yahan mainay nazar e bad w ussay bachnay k aur nazar e bad k asar ko dur karnay k tareeqay bataye hain,jo ba aasaani aap kar saktay hain.ummid hain ki jo bhi mere bhai ya bahan es post se faeda uthaengay wo mere murshid aur mere liye dua karaengay aur main bhi dua karta hun ki Allah ta'ala apnay habib sallallahu alayhi w aalehi w sallam aapko aapkay ahl o ayaal ko karobar ko har buri nazar se bachaye aameen...!

0 comments:

Post a Comment

Global Visa Consultant Lahore

Address: 274, Block F Phase 1 Johar Town, Lahore, Punjab 54000
M: +923 111 762 324
E: globalvisa30@gmail.com
URL: globalvisaconsultant.com
E: info@globalvisaconsultant.com

Recent Comments

Labels

100. Surah Al-Adiyat (1) 101. Surah Al-Qari'ah (1) 102. Surah At-Takathur (1) 103. Surah Al-Asr (1) 105. Surah Al-Fil (1) 107. Surah Al-Maun (1) 108. Surah Al-Kauthar (1) 110. Surah An-Nasr (1) 111. Surah Al-Lahab (1) 113. Surah Al-Falaq (1) 114. Surah An-Nas (1) 13 Ways to Be Forgiven Starts With Fasting on the Day of Arafat (1) 40 Hadees Qudsi (1) 40 Hadith (1) 40 Hadith Collection (1) 40 Hadith Selection (1) 40 Rabbana (2) 5 Most Unique Teachings Of The Holy Quran (1) 55. Surah Ar-Rahman (1) 56. Surah Al-Waqiah (1) 57. Surah Al-Hadid (1) 58. Surah Al-Mujadilah (1) 59. Surah Al-Hashr (1) 6 Facts About Dome of Masjid e Nabawi (1) 60. Surah Al-Mumtahanah (1) 64. Surah At-Taghabun (1) 65. Surah At-Talaq (1) 66. Surah At-Tahrim (1) 67. Surah Al-Mulk (1) 68. Surah Al-Qalam (1) 69. Surah Al-Haqqah (1) 70. Surah Al-Ma'arij (1) 71. Surah Nuh (1) 72. Surah Al-Jinn (1) 73. Surah Al-Muzzammil (1) 74. Surah Al-Muddaththir (1) 75. Surah Al-Qiyamah (1) 76. Surah Al-Insan (1) 77. Surah Al-Mursalaat (1) 78. Surah An-Naba (1) 79. Surah An-Naziat (1) 80. Surah Abasa (1) 81. Surah At-Takwir (1) 82. Surah Al-Infitaar (1) 91. Surah Ash-Shams (1) 92. Surah Al-Lail (1) 93. Surah Ad-Duha (1) 94. Surah Al-Inshirah (1) 95. Surah At-Tin (1) 96. Surah Al-Alaq (1) 97. Surah Al-Qadr (1) 98. Surah Al-Bayyinah (1) 99. Surah Al-Zilzal (1) A Look into The Tomb of Waris Shah (1) A Reminder For All The Worlds – Quran (1) Ablution (1) Ada e Qarz ka Wazifa (1) Ahad Nama (2) Alcohol in Islam and Science: Conflict or Concordance (1) An-Nawawi on forgiveness and pardon (1) Ayat-e-Shifa (1) Bashair-al-Khairat (1) Beautiful Dhikr (1) BEAUTIFUL DUAS OF RASULULLAH (PBUH) (1) Belief (1) Belief in Angels (1) BELIEF IN THE ANGELS (1) Benefits of Ayatul Kursi (1) Benefits of Darood Sharif (1) Benefits of Dua Qufal Six (1) Benefits of Dua-e-Hajat (1) Benefits of Durood Lakhi (1) Benefits of Durood Muqaddas (1) Benefits of Durood-e-Kabristan (1) Benefits of Hizbul Bahr (1) Benefits of Nad-e-Ali (1) Benefits of Patience (1) Benefits of Ramadhan (1) Benefits of Surah Al Kahf (1) Benefits of Surah Ar-Rahman (1) Benefits of Surah Fath (1) Benefits of Surah Jinn (1) Benefits of Surah Muzammil (1) Benefits of Surah Nooh (1) Benefits of Surah Qaf (1) Benefits of Surah Sajdah (1) Benefits of Surah Yasin (1) Benefits of Surat Al-Falaq (1) Benefits of Surat Al-Fatiha (1) Benefits of Surat Al-Kafirun (1) Benefits of Surat An-Nas (1) black magic cure (1) black magic treatment (1) Blessed face of Beloved Mustafa ﷺ (1) Blessings of Ramadhan (1) Can plague enter Mecca and Medina? (1) COURAGE OF THE PROPHET MUHAMMAD (PEACE BE UPON HIM) (1) cure of black magic (1) cure of magic (1) Cure with Manzil Dua (1) Daily Masnoon Wazaif (1) Daily Morning Azkar (1) Darood Mustaghas (2) DAUGHTERS - A WAY TO PARADISE (1) Did Prophet Muhammad assassinate his critics? (1) DRESS CODE OF MUSLIM WOMEN (1) Dua Qadah Muazzam (1) Dua Qufal (1) Dua Qufal Six (1) Dua Saifi (1) Dua Saifi Benefits (1) Dua Syed-ul-istighfar (1) Dua-e-Aman (1) Dua-e-Hajat (2) Dua-e-Hajat Benefits (1) Durood Kibrit Ahmar (2) Durood Lakhi (1) Durood Lakhi Benefits (1) Durood Muqaddas (1) Durood Muqaddas Benefits (1) Durood-e-Kabristan (1) Durood-e-Kabristan Benefits (1) Easy Good Deeds (1) Faith Of The Parents Of The Holy Nabi (1) Fasting (1) Favourite foods of Beloved Rasool (1) Finding our True Eid (1) Forty Hadith on Purification of the Heart (1) GOOD DEEDS ERASE BAD DEEDS (1) GOOD HABITS FOR NEW MUSLIMS TO DEVELOP (1) He Understands All Languages (1) Hizbul Bahr (1) Hizbul Bahr Benefits (1) how to do Istikhara (1) HOW TO LOVE OUR HOLY PROPHET ﷺ (1) HOW TO MAKE DUA’ (1) How to Perform Hajj (1) How to perform Salat-l-Istikhara (1) HOW TO UNITE THE ISLAMIC UMMAH?? (1) ILM UL GHAYB- THE KNOWLEDGE OF THE UNSEEN (1) Importance And Major Events Of Shawwal Islamic Month (1) IMPORTANCE OF SEEKING KNOWLEDGE (1) Importance of Wudu (1) Introduction To The Numeric Miracles (1) Is it a punishment or a trial? (1) Is Life Insurance Haram or Halal In Islam? (1) Islam in Moderation? – The Moderate Muslim Debate (1) Islam Religion Encourages Learning (1) islamic wazifa for rizk (1) islamic wazifa for rizk in urdu (1) islamic wazifa for rizq (1) Istikhara (1) Istikhara benefits (1) Istikhara in islam (1) Istikhara in quran (1) Its Meaning and Importance (1) job ke liye wazifa (1) Karz Utarne ka Wazifa (1) Karz Utarne ke Dua (1) Let’s Speak About Moses In Quran For Some! (1) List of Ziyarat Places in Makah during Hajj and Umrah (1) Magic Cure with Manzil Dua (1) magic treatment (1) Manzil Dua (1) Manzil Dua for Cure (1) method of Istikhara (1) Mount Paran (1) muhammad-the-incomparable-and-matchless-nabi (1) Nad-e-Ali (1) Nad-e-Ali Benefits (1) Nazar e Bad (1) Nazar e Bad ka ilaj (1) Nazar e Bad ka islami ilaj (1) Nazar e Bad ka khatma (1) Nazar e Bad ka Tor (1) Nazar e Bad ke Dua (1) Nazar e Bad se bachwo (1) Night Prayers in Ramadan/Fasting (1) not Value (1) Number 7 in the Holy Quran (1) Paradise In Islam: Not Just A Dream (1) Pareshani Door Karne ka Wazifa (1) Patience (1) Patience in the Qur’an (1) powerful dua for rizq (1) powerful wazifa for rizq (1) PROPHET MUHAMMAD’S LOVE OF THE POOR (1) Protection (1) Purification from the spiritual disease of hatred in Islam (1) Purpose & Importance of Wudu (1) Qarz ka Wazifa (1) Qarz ki Adaigi ka Wazifa (1) Qarz ki Adaigi ke Dua (1) Questions about Black Stone (1) quran (1) quran rizq ki dua (1) qurani surah benefits (2) Qurani Wazaif (1) qurani wazifa for rizq (1) rabbana (1) rabbana in qurani (1) Ramadan 'Eed Al-Fitr (1) Ramadan Kareem (1) Ramadhan (1) Ramzan (1) Sabr (1) Salaat al-Tawbah (the Prayer of Repentance) (1) Salatul Hajat (2) SAYINGS OF THE MESSANGER OF ALLAH (PBUH) (1) Sayyiduna Abdullah Bin Abdul Muttalib (1) Segregation of Women in Islam: Separate Venue (1) Story of Hafsa and Maria in Surat al-Tahrim (1) Sunan of Anger: What a Muslim should do when angry (1) Surah Al Kahf (1) Surah Al-Fatihah (1) Surah Fath (1) Surah Fath Benefits (1) Surah Jinn (1) Surah Muzammil (1) Surah Nooh (1) Surah Nooh Benefits (1) Surah Qaf (1) Surah Sajdah (1) Surah Yaseen ka Amal (1) Surah Yaseen ka Anmol Amal (1) Surah Yaseen ka Wazaif (1) Surah Yasin (1) Surah Yasin Benefits (1) Tangdasti Door Karne ka Wazifa (1) Tangdasti Door Karne ke Dua (1) tangdasti ka hal (1) Tangdasti ka Wazifa (1) tangdasti ki Dua (1) Taqwa (1) The Best Time to Study the Qur’an (1) The Big Questions: Who Made Us? (1) THE DANGER OF HYPOCRISY (1) THE DAY OF ASHURA IN ISLAM (1) THE EXCELLENCE OF THE SUNNAH SOLAH (1) The Favours Of The Noblest Rasool To The World (1) The Finality of Prophethood (1) The Grandeur of Friends of Allah عَزَّوَجَلَّ (1) THE KINDNESS OF PROPHET MUHAMMAD (PBUH) (1) The Kinds of Manners in Islam and Its Verses (1) The One Sure Way To Be Happy (1) The Prayer Of Need (2) The Prophet (pbuh) had a rest in the afternoon. (1) The Purpose of Creation (1) The Purpose of Life: Reason and Revelation (1) The Spiritual Purity (1) The Status Of Women In Islam (1) Thousand Years Old Letter (1) True Meaning of Trust in Allah (1) Types of Patience (1) Unique Revenge (1) verses of quran (1) verses of rabbana (1) Virtues of Fasting in the Summer Taken from: Ibn Rajab al-Hanbalī’s “Latā’if Maʿārif” (1) Virtues of reading Surah Al-Muzzammil (1) VISITING GRAVE OF PROPHET MUHAMMAD (PBUH) (1) Ways of Treating Magic (1) Wazaif e Ghawsia (1) Wazaif e Ghawsia Benefits (1) Wazaif of Week (1) What Can You Do in 10 Minutes (1) WHAT IS ANGER? (1) what is Istikhara (1) What is Patience (1) What is the meaning of ‘eye for an eye’? (1) What One Must Know before Hajj – The Fiqh Provisions of a Pilgrim (1) WHAT TO DO UPON A DEATH (1) What You can do in 1 Minute (1) When Mecca Build (1) When Our Prayers Are Never Answered (1) Who is Muhammad (peace be upon him)? (1) Why Did God Create? (1) Why did Prophet Muhammad raid caravans in Medina? (1) WHY DO MUSLIMS FAST? (1) WHY IS THE BISMILLAH MISSING FROM SURAH AT-TAWBAH? (1) Women (1) WORLD OF THE JINN (1) Worshiping Allah in fear and hope (1) wudu (1) ya rabbana (1) Ya Salamo (1) Ya Salamo ka Amal (1) Ya Salamo ka Wazifa (1) Zakat Ul-Maal (1)